Salgum ki sabji recipe || punjabi style salgum ki sabji recipe

Salgum ki sabji recipe || punjabi style salgum ki sabji recipe

Salgum ki sabji octuber se decmber tak aaram se mil jati hai or yeh khaane main teste ke sath sath bahut he heldi bhi hoti hai jiski tassir sardiyon main garm hoti hai or punjabi log ise aksar bade he chav se lhate hai.agr aapka bhi dil salgum ki sabji ko khane ko karta hai .to main aapko ise bnane ki badiya vidhi bta deta hun.vidhi kuch is prkar hai.
 

salgum ki sabji ke liye 

1kg
Salgum

50gm
Sarson oil/ ya refind oil (best hai ki ghar pr aap sarson oil he use kro jo ki sehat ke loye bhi better hai)

1spoon
Jeera

2 Tspoon 
lahsun peste

2 bde choped 
Piyaj

1bde size ka
Tometo (tamater)

8/10
hari mirch (baki swad ke anusar dal lena)

1inch
Adrak choped (baki apne hisab se dal lena)

Thoda sa harra dhaniya

1chamch
Dhaniya (koi bhi apne pasand ka masala)

1 chamch
Hadi pauder

1 chamch
Lal mirch

1 spoon 
Namak(ya fir apne swad anusar

Salgum ki sabji banane ki vidhi

Cutting:-

Salguma ki sabji bnane se pehle salgum ko cheel lein or fir chote chote tukdon main kaat lein.fir paani se dho kr ek side main rakh lein

Tadka:-

salgum ki sabji ko tadka lgane ke liye ek kadahi lo. Fir ismain 50 gram ke kareeb sarson oil daal do.oil garm hone ke baad jeera dale.jeera halka laal ho jaye fir lahsun paste dale or thodi der hilaye .fir isme kata hua pyaj dale or laal hone tak pakaye ab isme Haldi,mirch,dhaniya pauder,ya koi apne pasand ka masala bhi add kr sakte hai.masale dalne ke baad tamater dale or hari mirch or adrak bhi ab upr se namak daal de namak apne swad anusar dalna ya 1chamach daal dena ab tadke ko pakne dena. Tadke ko thaodi der pkane ke baad ab ismain salgaum daal de or thodi der hila kr kam aanch pr pakne ke liye chod de jab salgum pak jaye to haara dhaniya or kata hua adrak chidka kr sarve kare



टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Tuna Pasta, Indian Masala, Easy Pasta Recipe

How to Make Soya Cream chaap in Cookingfood

लेमन चिकन रेसिपी (lemon chicken Recipe)Hindi Recipe